qafas se chhutne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi ye kya khabar thi bahaar-e-gulshan lahu mein dubi hui milegi jin ahl-e-himmat ke raston mein bichhae jate hain aaj kante unhi ke khun-e-jigar se rangin chaman ki har ek kali milegi wo din bhi the jab andheri raaton mein bhi qadam rah-e-rast par the aur aaj jab raushni mili hai to zist bhatki hui milegi nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi kabhi to nasl-o-watan-parasti ki tirgi ko shikast hogi kabhi to sham-e-alam mitegi kabhi to subh-e-khushi milegi wo hum nahin hain ki sirf apne hi ghar mein shamen jala ke baithen wahan wahan raushni karenge jahan jahan tirgi milegi talash-e-manzil ka azm-e-mohkam dalil-e-manzil-rasi hai 'zahid' qadam to apne badhao aage khuli hui rah bhi milegi