har ek baat na kyun zahr si hamari lage

har ek baat na kyun zahr si hamari lage
ki hum ko dast-e-zamana se zakhm kari lage

udasiyan hon musalsal to dil nahin rota
kabhi kabhi ho to ye kaifiyat bhi pyari lage

ba-zahir ek hi shab hai firaq-e-yar magar
koi guzarne baithe to umr sari lage

ilaj is dil-e-dard-ashna ka kya kije
ki tir ban ke jise harf-e-gham-gusari lage

hamare pas bhi baitho bas itna chahte hain
hamare sath tabiat agar tumhaari lage

'faraaz' tere junun ka khayal hai warna
ye kya zarur wo surat sabhi ko pyari lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close