raegan jati na kyun phir hama-koshi us ki thi gharaz-kar bahut halqa-ba-goshi us ki har taraf us ne diya jism-numai ko riwaj khub mashhur hui saya-faroshi us ki bar-sar-e-am meri chup ki jo tashhir hui mushtail ho uthi aawaz-bagoshi us ki munakis ho na saki koi bhi surat us se yani be-kar gai aaina-poshi us ki aa gaya wo meri khurshed-panahi ke tale mujh se dekhi na gai khana-badoshi us ki be-farishta hua kab shana khabar tak na hui mujh pe tari thi kuchh is tarah be-hoshi us ki khas kar lijiye 'parwez' ka sani koi aam hone ko hai dil-doz khamoshi us ki