jab zara hui aahat shakh par hile patte ped so gae lekin jagte rahe patte saikadon parindon ne odh li rida jaise raat ki siyahi mein ot ban gae patte surkh khun shakhon ka hai wajud mein shamil dekh kar faza lekin sabz ho gae patte jaise un ke daman par dhul thi na dhabba tha ek zara si barish se kaise dhul gae patte jab bhi lu chali yaro sabz rut badalne ko taliyan bajaenge phir yahi hare patte jangalon mein khamoshi habs ki alamat hai tazgi si dete hain bolte hue patte be-libas ho kar bhi ped to rahe qaem hijraton ke mausam ne dar-ba-dar kiye patte ab chaman ki rakhwali mashghala hai bachchon ka phul jab nahin pae nochne lage patte