har ek chehra abhi aashna naya naya hai ki shak to lazmi hai aaina naya naya hai teri raza ke mutabiq hi faisle honge tu sabr kar ki abhi rabta naya naya hai wo baad tark-e-talluq kare hai yaad mujhe use saliqa nahin bewafa naya naya hai wahi masarrat-e-wasl aur wahi azab-e-firaq juz ek nam mohabbat mein kya naya naya hai padi hain mez pe bikhri kisi ki taswiren nigah rakhiye ki ghar mein diya naya naya hai ab us ka nam chalo e'tibar hi rakh len zaban-e-wasl pe ek aabla naya naya hai jo daimi hai zamin-o-falak ke beach 'afaq' hamare darmiyan wo fasla naya naya hai