kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage

kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage
us se rishta bhi raha wahm o guman se aage

le ke pahunchi hai kahan sim-badan ki khwahish
kuchh ilaqa na raha sud-o-ziyan se aage

khwab-zaron mein wo chehra hai numu ki surat
aur ek fasl ugi rishta-e-jaan se aage

kab talak apni hi sanson ka chukata rahun qarz
ai meri aankh koi khwab dhuan se aage

shakh-e-ehsas pe khilte rahe zakhmon ke gulab
kis ne mahsus kiya shorish-e-jaan se aage

jab bhi bol utthenge tanhai mein likkhe hue harf
phailte jaenge naqus o azan se aage

jis ki kirnon se ujala hai lahu mein 'ajmal'
jal raha hai wo diya kahkashan se aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close