har ek chiz hai fani faqat hayat nahin ba-juz khuda ke kisi ko yahan sabaat nahin hayat nam hi tabdiliyon ka hai jaanan badal gae ho jo tum bhi to koi baat nahin karam hai ye mere do ek khas yaron ka tabahiyon mein meri dushmanon ka hath nahin ki jaise dil nahin sine mein dukh dhadakta hai jahan bhi jaun alam se kahin najat nahin ghazab ka silsila thamne hi mein nahin aata zara sa pyar hi manga tha kaenat nahin main zakhm zakhm sahi hausla to qaem hai shikasta-haal to hun par ye meri mat nahin chali gai ho jo tum bhi to kya gila tum se yahan to yun hai ki main khud bhi apne sath nahin sahar bhi ghar mere 'shahzad' tirgi lai qusur-war meri jaan sirf raat nahin