hayat ko teri dushwar kis tarah karta main tujh se pyar ka izhaar kis tarah karta tha meri saut pe pahra ana-sipahi ka main apni haar ka iqrar kis tarah karta use tha pyar se badh kar khayal duniya ka ye jaan kar bhi main israr kis tarah karta tera wajud gawahi hai mere hone ki main apni zat se inkar kis tarah karta mujhe khabar thi tujhe dukh milenge badle mein qubul phir main tera pyar kis tarah karta tha ham-safar bhi safar bhi jo meri manzil bhi usi ko rah ki diwar kis tarah karta jo khud ko bechne baitha tha kaudiyon ke ewaz main us ko apna kharidar kis tarah karta