har ek gam pe sajda yahan rawa hoga khudi ka daur hai har shakhs ab khuda hoga ba-nam-e-fasl-e-bahaaran khizan ki puja hai yahi mazaq-e-gulistan raha to kya hoga dhuan sa uthne laga dil se ahl-e-mahfil mein naya charagh koi bazm mein jala hoga tumhaare shahr mein aae hain ahl-e-ghurbat phir is aas par ki koi dard-ashna hoga jaras hai un ka sada un ki karwan un ke siwae gard-e-safar mere pas kya hoga kabhi na ahd-e-junun mein kisi ne socha tha khirad ka daur bahut sabr-azma hoga 'nasim' hum se hai zinda jahan mein nam-e-wafa hamare baad zamana badal chuka hoga