zamane phir nae sanche mein dhalne wala hai zara thahar ki natija nikalne wala hai abhi hujum-e-azizan hai zer-e-takht-e-murad magar zamana chalan to badalne wala hai hui hai naqa-e-laila ko sarban ki talash julus shahr ki galiyon mein chalne wala hai zamir apni tamanna ko phir ugal dega samundaron se ye sona uchhalne wala hai naya azab nai subhon ki talash mein hai ye mulk phir naya qatil badalne wala hai sada-e-subh-e-bashaarat khabar sunaegi sulag raha hai jo sina wo jalne wala hai nae azab ki aamad hai aur hum hain 'wahid' azab-e-daura-e-hazir to talne wala hai