mizhgan pe aaj yas ke moti bikhar gae zulmat badhi jo raat ki tare nikhar gae kaisi ziya hai ye jo munawwar hain baam-o-dar su-e-falak ye kis ki fughan ke sharar gae shikwe hain aasman se zamin se shikayaten ilzam un ke jaur ke kis kis ke sar gae mahfil mein aai kis ki sada-e-shikast-e-dil saqi ke hath ruk gae saghar thahar gae sina-figar phulon se khushbu nikal padi shabnam ke aansuon se gulistan nikhar gae uljhi thi jin mein ek zamane se zindagi kyun ai gham-e-hayat wo gesu sanwar gae