har ek ghar mein diya bhi jale anaj bhi ho agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho rahegi wadon mein kab tak asir khush-haali har ek bar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho na karte shor-sharaba to aur kya karte tumhaare shahr mein kuchh aur kaam-kaj bhi ho hukumaton ko badalna to kuchh muhaal nahin hukumaten jo badalta hai wo samaj bhi ho badal rahe hain kai aadmi darindon mein maraz purana hai is ka naya ilaj bhi ho akele gham se nai shairi nahin hoti zaban-e-'mir' mein 'ghaalib' ka imtizaj bhi ho