har ek jaanib hai raqs karti ajib si chup ye dil ke aangan mein nauha likhti ajib si chup rah-e-wafa mein jahan pe bhatka tha ek musafir wahin kahin pe hai hath malti ajib si chup hai kuchh sadaon ka pichha karti meri samaat aur ek khamoshi se mujh ko takti ajib si chup wo meri palkon ke sae sae wafa ki belen aur un se khwabon ke phul chunti ajib si chup ufuq pe yaadon ke zard aanchal mein lipta suraj aur us pe shamon ke sath dhalti ajib si chup wo pichhle mausam ka hath thame hasin manzar wo agle mausam mein us se ladti ajib si chup wo khush-gumani ki konpalon par khili tamanna aur us ke haq mein duaen karti ajib si chup wo sard raaton mein aansuon ke charagh raushan aur un charaghon ki lau mein jalti ajib si chup wo khwahishon ke badan se uthti sunahri khushbu wo dil ke mausam mein chhup ke roti ajib si chup