har ek jannat ke raste ho ke dozakh se nikalte hain unhen ka haq hai phulon par jo angaron pe chalte hain haqaeq un se takra kar nae sanchon mein dhalte hain bade hi sakht-jaan hote hain jo khwabon pe palte hain guman hota hai jin maujon pe ek naqsh-e-hubabi ka unhi soi hui maujon mein kuchh tufan palte hain wo raat aakhir hui to kya ye din kab rahne wala hai sitare mand hote hain agar suraj bhi dhalte hain talawwun chashm-e-saqi mein taghayyur waz-rindi mein hamare mai-kade mein roz paimane badalte hain haqaeq sard ho sakte hain sab mehrab-o-mimbar ke magar wo khwab jo rindon ke paimane mein dhalte hain junun ne aalam-e-wahshat mein jo rahen nikali hain khirad ke karwan aakhir unhi rahon pe chalte hain 'surur'-e-sada ko yun to lahu rona hi aata hai magar is sadgi mein bhi bade pahlu nikalte hain