kis masti mein ab rahta hun khud ko khud mein dhund raha hun duniya mein sab se hi juda hun aakhir main kis duniya ka hun main to khud ko bhul chuka hun tum batla do kaun hun kya hun ye bhi nahin hai yaad mujhe ab kyun aakhir rota rahta hun ek duniya hai mere andar us mein hi main ghum raha hun mujh ko nind hai pyari ya phir us ko bhi main hi pyara hun wo rukh apna pher chuke hain main kis ko apna kahta hun in lafzon ne manzil chhini aap chalen main abhi aata hun man to khushiyan bant raha hai main qatra qatra rota hun khud ka bojh hai kitna khud par kitna khud ko jhel raha hun mujh ko tum 'mahtab' na samjho shayad main us ka saya hun