hum sab ko batate rahte hain ye baat purani kaam ki hai das bis gharon mein charche hon tab ja ke jawani kaam ki hai ye waqt abhi tham jaega mahaul mein dil ram jaega bas aap yunhi baithe rahiye ye raat suhani kaam ki hai aasan bhi hai dushwar bhi hai dukh-sukh ka bada bazar bhi hai malum nahin to mujh se suno ye duniya diwani kaam ki hai mashhur bhi hain badnam bhi hain khushiyon ke nae paigham bhi hain kuchh gham ke bade inam bhi hain padhiye to kahani kaam ki hai jo log chale hain ruk ruk kar hamwar zamin par jhuk jhuk kar wo kaise bataenge tum ko dariya ki rawani kaam ki hai