har ek lamha tabiat pe bar hai, kya hai tumhaara gham ki gham-e-rozgar hai, kya hai wo hum pe aaj bahut jalwa-bar hai kya hai ab is ada mein adawat hai, pyar hai, kya hai sitam to ye hai ki is ahd-e-jabr mein bhi yahan malul hai na koi be-qarar hai, kya hai hazar rang-ba-daman sahi magar duniya bas ek silsila-e-etibar hai, kya hai faza chaman ki hai aisi ki kuchh nahin khulta khizan ki rut hai ki fasl-e-bahaar hai, kya hai suna hai raat to kab ki guzar gai lekin hamein sahar ka abhi intizar hai, kya hai chaman hamara hai lekin chaman hamara nahin na bebasi na koi ikhtiyar hai, kya hai batae jate hain unwan nae nae 'nikhat' magar tamasha wahi wahi bar bar hai, kya hai