hijabaat uth rahe hain darmiyan se zamin takra na jae aasman se nikala kis khata par gulsitan se hamein ye puchhna hai baghban se wahin jaana hai aae hain jahan se hain waqif manzil-e-umr-e-rawan se bahaar aane ki mangi thin duaen bahaar aai magar bad-tar khizan se jo hain na-ashna-e-nazm-e-gulshan unhin ko faede hain gulistan se abhi murda nahin zauq-e-asiri qafas ka samna hai aashiyan se jahan kanton mein uljhe apna daman bayaban achchha aise gulistan se ghamon hi se khushi hoti hai paida hai bahaaren banti hain daur-e-khizan se sahaara lun agar diwangi ka guzar jaun had-e-kaun-o-makan se numayan hai wahi rajat-pasandi nizam-e-zindagi badla kahan se lipat jaunga main daman se un ke sabaq sikha hai khak-e-astan se bhatakta phir raha hun is tarah main ki jaise chhut gaya hun karwan se chaman mein phir banaenge nasheman hamein zid ho gai hai aasman se watan dushman inhen kyun kar na samjhen jinhen hai dushmani urdu zaban se wahi hai bais-e-taklif 'sajid' milin thin rahaten jis gulsitan se