har ek mahaul se beganagi mahsus hoti hai kahin apni kahin teri kami mahsus hoti hai abhi se kyun judai ki aziyyat ka karen shikwa abhi dil mein teri maujudgi mahsus hoti hai mohabbat ka karishma koi dekhe tere kuche mein khule bandon yahan lut kar khushi mahsus hoti hai tere irshad-e-be-awaz ko jab dil se sunta hun khamoshi guftugu karti hui mahsus hoti hai tasallut hai abhi josh-e-junun par hosh-mandi ka abhi diwangi diwangi mahsus hoti hai unhen pa kar bhi rahta hai tajassus ka wahi aalam koi shai jis tarah khoi hui mahsus hoti hai talash apni hai ya un ki kuchh andaza nahin hota basa-auqat yun aawargi mahsus hoti hai teri nazron ka nashtar to ba-ru-e-kar hai lekin mohabbat ki khalish mein kyun kami mahsus hoti hai ye mana ajnabiyyat ki faza hai bazm-e-alam mein magar har shakl pahchani hui mahsus hoti hai kisi ko dekh kar yarab ye ab kya dekhta hun main nazar anwar mein khoi hui mahsus hoti hai nahin hote to hoti hain 'rishi' tarikiyan dil mein wo hote hain to dil mein raushni mahsus hoti hai