ya rab meri hayat se gham ka asar na jae jab tak kisi ki zulf-e-pareshan sanwar na jae wo aankh kya jo aariz o rukh par thahar na jae wo jalwa kya jo dida o dil mein utar na jae mere junun ko zulf ke sae se dur rakh raste mein chhanw pa ke musafir thahar na jae main aaj gulsitan mein bula lun bahaar ko lekin ye chahta hun khizan ruth kar na jae paida hue hain ab to masiha nae nae bimar apni maut se pahle hi mar na jae kar li hai tauba is liye waiz ke samne ilzam-e-tishnagi mere saqi ke sar na jae saqi pila sharab magar ye rahe khayal aalam-e-rozgar ka chehra utar na jae main us ke samne se guzarta hun is liye tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae masrur-e-did-e-husn hai is waste 'fana' duniya ke aib par kabhi meri nazar na jae