hun azal se muntazir baiTha hua

hun azal se muntazir baitha hua
ek qayamat aap ka wada hua

wo to ilzam-e-jafa se bach gae
ishq mera muft mein ruswa hua

sare tufan mauj ban kar rah gae
ashk-e-gham qatre se jab dariya hua

jab mite arman-o-hasrat sainkadon
dard dil mein tab kahin paida hua

baat jo nazron ne nazron se kahi
dur tak us baat ka charcha hua

un ko dekha tha bas itna yaad hai
be-khudi mein jaane phir kya kya hua

aap ke daman talak pahunche na aanch
shoala-e-gham dil mein hai bhadka hua

ek tere ruthne se hai ye haal
jaise ho sara jahan rutha hua

aalam-e-josh-e-junun mein barha
mujh ko khud par aap ka dhoka hua

main to khud armanon se bezar tha
tum ne bhi thukra diya to kya hua

main idhar gharq-e-nadamat aur udhar
bahr-e-rahmat josh mein aaya hua

teri is bakhshish ko ya-rab kya kahun
dil diya bhi mujh ko to tuta hua

hai tasawwur mein bhi aane se hijab
ek qayamat aap ka parda hua

sher mera sehr hai 'sahir' hun main
sar se pa tak dard mein duba hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close