har faza aur har ek samt nazar rakhta hun main hun shair main do-alam ki khabar rakhta hun ye na samjho ki hai mujh ko kisi manzil ki talash khud main manzil hun magar zauq-e-safar rakhta hun rahraw-e-rah-e-mohabbat ki hai manzil hi juda main zamane se alag rahguzar rakhta hun sher mein khun-e-jigar se mere rangini hai shaeri ke liye main khun-e-jigar rakhta hun ek nazar se meri tute hue dil judte hain main masiha hun mohabbat ki nazar rakhta hun khud-bakhud dil se mere sher tapak jate hain kab ghazal kahne ka warna main hunar rakhta hun har-nafas jalwa-e-sad-rang ka aalam hai 'payam' jalwa-e-husn ba-unwan-e-digar rakhta hun