sukun kahan KHalish-e-dard-e-moatabar ke baghair

sukun kahan khalish-e-dard-e-mo'atabar ke baghair
hansi labon pe na aaegi chashm-e-tar ke baghair

hazar fasle hael the rah mein lekin
tumhaare jalwon ko dekha kiye nazar ke baghair

rah-e-hayat ki dushwariyan wo kya jaane
safar kiya hi na ho jis ne ham-safar ke baghair

diye hain kitne sahaare shikasta-pai ne
chala hun manzil-e-jaanan ko rahbar ke baghair

gila nahin hai agar aap mujh ko bhul gae
guzar hi jaengi raaten meri sahar ke baghair

khamoshiyon ne bahut zabt-e-gham kiya lekin
koi asar na hua aah-e-be-asar ke baghair

tumhaari yaad ne pahuncha diya kahan mujh ko
safar tamam hua aalam-e-safar ke baghair

wo din gae ki gham-e-dil ko fikr-e-darman thi
tabiat ab to sanbhalti hai chaaragar ke baghair

na jaane kaunsi manzil nazar mein hai 'sajid'
khulus-e-dil ne jo sajde kiye hain sar ke baghair


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close