phaili hai dhup jazba-e-isfar dekh kar hargiz thahar na saya-e-ashjar dekh kar chal aa wahin chalen ki jahan shor-o-shar na ho tang aa gaya hun garmi-e-bazar dekh kar afwah wo udi thi ki main kal bahut hansa rota hun aaj subh ka akhbar dekh kar aisa na ho ki qaum ka beda hi gharq ho taqrir jhad qaum ke meamar dekh kar 'jamid' mera wajud hai malba bana hua ek khauf sar uthata hai diwar dekh kar