har ek rasta-e-payab se nikalna hai sarab-e-umr ke har bab se nikalna hai sar-e-anasir-e-kamyab se nikalna hai shumar-e-nadir-o-nayab se nikalna hai tawil-tar se kisi khwab mein utarne ko har ek shakhs ko is khwab se nikalna hai lahu lahu sar-e-mizhgan tulu'a hona hai kinar-e-khitta-e-pur-ab se nikalna hai use bhi parda-e-tahzib ko girana hai mujhe bhi paikar-e-nayab se nikalna hai sukun lamha-e-bhaari ne hi ugalna hai to chain arsa-e-be-tab se nikalna hai nahin hai rahna use bhi bahaar mein 'tahir' mujhe bhi mausam-e-shadab se nikalna hai