khush-kaam karo khatir-e-nakaam hamein do khali ho ki labrez koi jam hamein do mayus nahin hum abhi islah-e-bashar se har ku-e-ghalat manzil-e-badnam hamein do jaulan-gah-e-khasan-e-mohabbat se guzaro kahte nahin hum shahrah-e-am hamein do aarasta gesu se ata ho fan-e-sadi nazron se adab-para-e-khayyam hamein do maslak hai mohabbat ka wal-itmam minallah kyon kashmakash-e-khatir-e-nakaam hamein do gunjaan hua gesuon walon se mohalla ham-tarz-e-hasinan-e-awadh sham hamein do 'mani' yahi suqraat ka sajjada-nashin hai dena hai use zahr bhara jam hamein do