wo jo bhi bakhshen wo inam le liya jae malal hi dil-e-nakaam le liya jae bada maza hamein is bandagi mein hasil ho jo subh o sham tera nam le liya jae rahe na taer-e-sidra bhi apni zad se dur use bhi aao tah-e-dam le liya jae hamari jaan se gham ne liye hazaron kaam hamari khak se bhi kaam le liya jae murawwaton se adawat badal to sakti hai agar khulus se kuchh kaam le liya jae ye chashm-e-mast teri saqi-e-hayat-afroz ye tujh se kyun na tera jam le liya jae bada kamal hum is baat mein samajhte hain bakhil logon se inam le liya jae saza se pahle ye hakim ko chahiye ai 'ramz' bayan-e-maurid-e-ilzam le liya jae