wo jo mahw the sar-e-aina pas-e-aina bhi to dekhte kabhi raushni mein wo tirgi ko chhupa hua bhi to dekhte to ye jaan lete ki sach hai kya ye jo fard-e-jurm hai sab ghalat wo jo padh ke matn hi rah gae kabhi hashiya bhi to dekhte sar-e-ab-ju rahe tishna-lab to ye zabt-e-gham ki hai intiha mere haal pe the jo nukta-chin mera hausla bhi to dekhte wo utar gae the jo par khud mujhe bich bahr mein chhod kar tha jo un mein itna hi hausla mujhe dubta bhi to dekhte jinhen mujh se hai ye gila ki main rahi be-niyaz-e-khulus-o-rabt mere gird rasm-o-riwaj ka kabhi daera bhi to dekhte wo meri khushi se hain khush-guman ki nashat-e-zist hai muddaa mere ashk-e-gham ka ruka hua kabhi qafila bhi to dekhte