har ek samt udasi ki titliyan jagin tulu-e-sham se pahle siyahiyan jagin safar mein dhup ki lazzat pas-e-ghubar hui ghane darakhton ke sae mein garmiyan jagin dayar-e-dil mein sadaon ka aaina tuta nawah-e-jaan mein talluq ki kirchiyan jagin kahan kahan nahin di hum ne raat bhar dastak na koi bab hi chaunka na khidkiyan jagin dilon ke bich to hail tha barf ka mausam na jism sulge na khwahish ki garmiyan jagin lahu mein lams ke shoale buland hone lage badan mein qurb ki pur-shor aandhiyan jagin kisi se kam na hua 'naz' fasla gham ka ki log jitna chale utni duriyan jagin