khun aansu ban gaya aaankhon mein bhar jaane ke baad aap aae to magar tufan guzar jaane ke baad chand ka dukh bantne nikle hain ab ahl-e-wafa raushni ka sara shiraaza bikhar jaane ke baad hosh kya aaya musalsal jal raha hun hijr mein ek sunahri raat ka nashsha utar jaane ke baad zakhm jo tum ne diya wo is liye rakkha hara zindagi mein kya bachega zakhm bhar jaane ke baad sham hote hi charaghon se tumhaari guftugu hum bahut masruf ho jate hain ghar jaane ke baad zindagi ke nam par hum umar bhar jite rahe zindagi ko hum ne paya bhi to mar jaane ke baad