thi us ke liye khwab ki tabir koi hir karti thi na ranjhe ko jo taskhir koi hir hoti hai wo izzat bhi wo beti bhi haya bhi kyun pahne faqat ishq ki zanjir koi hir is darja tumhein pas-e-zamana hai bhala kyun kya tum na karoge kabhi tamir koi hir ilzam to aata hai faqat ishq ke sar hi ranjhan ki to karti nahin tahqir koi hir tu bhi to kabhi soch meri zat ke mehwar kya aap hi karti rahe tadbir koi hir ab kaun sunaega 'rabab' ishq-sahifa karti jo nahin ab koi tafsir koi hir