har ek sans hi hum par haram ho gai hai ye zindagi to koi intiqam ho gai hai jab aai maut to rahat ki sans li hum ne ki sans lene ki zahmat tamam ho gai hai kisi se guftugu karne ko ji nahin karta meri khamoshi hi mera kalam ho gai hai parinde hote to dali pe laut bhi jate hamein na yaad dilao ki sham ho gai hai idhar to roz ke marne se hi nahin fursat udhar wo zindagi fursat ka kaam ho gai hai hazaron aansuon ke baad ek zara si hansi kisi gharib ki mehnat ka dam ho gai hai bana na pai kabhi aadaton ko apna ghulam ye zindagi to khud un ki ghulam ho gai hai purani yaadon ne jab bhi laga liya phera is ujde dil mein badi dhum-dham ho gai hai