zer-e-lab hum ne tishnagi kar li ek samundar se dosti kar li rah takte rahe hawaon ki phir charaghon ne khud-kushi kar li waqt ki chaal dekhne ke liye hum ne raftar mein kami kar li kaam koi na ho saka hum se hum ne har fikr peshgi kar li hum ne har gham chhupa liya us se zabt us ne bhi har khushi kar li raat-bhar koste hain duniya ko subh hote hi dosti kar li