har ek shai mein kami rakhi gai hai aankh mein yun nami rakhi gai hai sochta hun ki us sarape mein kis qadar sadgi rakhi gai hai maut se sab gurez karte hain is liye zindagi rakhi gai hai chand ki chandni se tang aa kar us ke lab par hansi rakhi gai hai meri jaanib bhi ek nazar us ki han meri baat bhi rakhi gai hai mere sare kalam rakkhe gae us ki bas khamushi rakhi gai hai din to main kat lun magar irfan hijr mein raat bhi rakhi gai hai