husn aks-e-jamal-e-fitrat hai ishq sar-chashma-e-mohabbat hai khul gaya ghuncha-e-shabab kahin nikhaton mein nahai khalwat hai muddaa hai larazte honton par imtihan-e-waqar-e-ghurbat hai apne ghar mein bhi hum nahin mahfuz koi tohmat nahin haqiqat hai dekh kar hum ko barsar-e-paikar gardish-e-waqt mahw-e-hairat hai meri ghazlon pe kijiye tanqid mujh ko is ki bahut zarurat hai hum hain urdu zaban ke khud qatil ai 'tarab' kyon kisi pe tohmat hai