har-gam hadse hain muqaddar bane hue rahzan dikhai dete hain rahbar bane hue wo daur-e-khush-gawar khuda jaane kya hua mandir the masjidon ke barabar bane hue kya aashiyan kahan ka chaman kaise rang-o-bu muddat hui qafas ko mera ghar bane hue hum wo nahin jo raaz-e-gham-e-dil ayan karen zindan hain hum se log samundar bane hue ai muflisi bata to sahi wo kidhar gae kuchh log the khulus ke paikar bane hue bheja hai us ne khat bhi to alfaz ki jagah kaghaz pe tir hain kahin nashtar bane hue shayad nahin hain ab kahin gauhar-shanas log hire pade hain rah mein patthar bane hue qaem hai baad-e-marg bhi baada-kashi meri rakkhe hain meri khak ke saghar bane hue yaron ko 'ehtisham' bana kar hasin kitab baithe hain aap dard ka daftar bane hue