hathon mein tha ek hath abhi kal ki baat hai jannat thi kaenat abhi kal ki baat hai nairangi-e-bahaar-e-chaman tana-zan hai kyon rangin thi hayat abhi kal ki baat hai itne bade jahan mein akela nahin tha main wo bhi the mere sath abhi kal ki baat hai dil bhi tha aap bhi the jawan hasraten bhi thin kya kya the waqiat abhi kal ki baat hai tabdil ho gaya hai jo mitti ke dher mein wo dil tha somnat abhi kal ki baat hai aaj un ko dekhna bhi muqaddar nahin raha hoti thi un se baat abhi kal ki baat hai hansiye na mujh pe waqt ki mizan dekhiye din se siwa thi raat abhi kal ki baat hai mere liye tha dosto har roz roz-e-id thi shab shab-e-baraat abhi kal ki baat hai aaj 'ehtisham' koi bhi qimat nahin rahi thi apni baat baat abhi kal ki baat hai