har-gam par the shams-o-qamar us dayar mein kitne hasin the sham-o-sahar us dayar mein wo bagh wo bahaar wo dariya wo sabza-zar nashshon se khelti thi nazar us dayar mein aasan tha safar ki har ek rahguzar par milte the saya-dar shajar us dayar mein har-chand thi wahan bhi khizan ki udas dhup dil par nahin tha gham ka asar us dayar mein mahsus ho raha tha sitare hain gard-e-rah hum the hazar khak-basar us dayar mein 'jalib' yahan to baat gareban tak aa gai rakhte the sirf chaak-jigar us dayar mein