har taraf hai us se mere dil ke lag jaane mein dhum bulbul-o-gul mein hai chah-chah sham-o-parwane mein dhum fitna-gar hai naz-o-ishwa us ki chashm-e-shokh mein jun machawen pi ke mai badmast mai-khane mein dhum yaad mein apni hai shayad wo faramush-kar bhi dil kare hai mujh se us ki yaad dilwane mein dhum jis tarah baad-e-khizan-dida mein aati hai bahaar shahr mein hoti hai us ke mere ghar aane mein dhum naubat auron ki to ai saqi subu-pardaz hai kya machai hai hamare ek paimane mein dhum jun bulandi se gire hai khak par koi zaif hai meri us shokh ki nazron se gir jaane mein dhum dekh to le ser ho kar tujh ko ye khana-kharab aate hi kya hai teri itni bhi ghar jaane mein dhum barhaman hone ko aata hai naya shaikh aaj kaun ho rahi hai har taraf 'hasrat' sanam-khane mein dhum