hum tera saya the saya ho ke phir chale aae hain tujh ko kho ke dard ki fasl hamein yaad rahi bij hum bhul gae the bo ke aankh ne dekha magar kya dekha aql ne aur bhi khae dhoke ek tufan ki aamad aamad ek aansu koi roke roke sab ki aankhon mein khatakte hain to hum koi itna nahin us ko toke tera aashiq tha to le ye tabut aakhiri kil bhi tu hi thoke dekho 'mushaf' ko jagao na agar abhi soe hain bahut ro ro ke