hum ko dars-e-ulfat-o-mehr-o-wafa dete hue khud ko parkha aap ne ye mashwara dete hue hai bahut bezar apni zindagi se wo magar ja raha hai sab ko jine ki dua dete hue faisla ek hai gunah ka jab kiya us ne ghalat kanp uttha hath munsif ka saza dete hue parwarish hoti hai bachche ki ye us ki shan hai kis ne dekha batn-e-madar mein ghiza dete hue chir kar dariya ka sina be-khatar utre hain par hadse guzre hain hum ko rasta dete hue bap ke aansu na thamte the ajab manzar tha wo qabr par bete ki apne fatiha dete hue hil nahin sakte yahan se chahe madfan hi bane hum nahin wo jo chale jaen sada dete hue main ki shashdar rah gaya saqi ki harakat dekh kar jam laya aur aage badh gaya dete hue jab tumhein fursat mile to shauq se aao 'habib' hanste hanste kah diya us ne pata dete hue