mai-khana ki raunaq hai juda shan-e-haram aur mai-kash ka mizaj aur hai zahid ka bharam aur nakaami-e-takmil-e-tamanna hai ek aaghaz asbab-e-gham-e-jaan to abhi honge baham aur kuchh dasht-nawardi ke to kuchh koh-kani ke afsana-e-tashhir-e-wafa honge raqam aur paspai pe aamada jo sardaron ko dekha hum le ke badhe khun-e-tamanna ka alam aur ek lafz ki tafsir bana khun-e-jigar ki hai zist ka mafhum ki maula ka karam aur