har haqiqat ko ba-andaz-e-tamasha dekha khub dekha tere jalwon ko magar kya dekha justuju mein teri ye hasil-e-sauda dekha ek ek zarre ka aaghosh-e-talab wa dekha aaina-khana-e-alam mein kahen kya dekha tere dhoke mein khud apna hi tamasha dekha hum ne aisa na koi dekhne wala dekha jo ye kah de ki tera husn sarapa dekha dil-e-agah mein kya kahiye 'jigar' kya dekha lahren leta hua ek qatre mein dariya dekha koi shaista-o-shayan-e-gham-e-dil na mila hum ne jis bazm mein dekha use tanha dekha