koi mehrban nahin sath mein koi hat bhi nahin hat mein hain udasiyan meri muntazir sabhi raston mein jihat mein hai khabar mujhe ki ye tum nahin kasi ajnabi ko bhi kya padi sabhi aashna bhi hain ru-ba-ru to ye kaun hai meri ghat mein ye udasiyon ka jo rang hai koi ho na ho mere sang hai mere sher mein meri baat mein meri aadaton mein sifat mein karen e'tibar kisi pe kya ki ye shahr shahr-e-nifaq hai jahan muskuraate hain lab kahin wahin tanz hai kisi baat mein chalo ye bhi mana ai ham-nawa ki taghayyuraat ke ma-siwa nahin mustaqil koi shai yahan to ye hijr kyun hai sabaat mein meri dastaras mein bhi kuchh nahin, nahin tere bas mein bhi kuchh nahin main asir-e-kakul-e-ishq hun mujhe kya milega najat mein