hum se wo jaan-e-sukhan rabt-e-nawa chahti hai chand hai aur charaghon se ziya chahti hai us ko rahta hai hamesha mari wahshat ka khayal mere gum-gashta ghazalon ka pata chahti hai main ne itna use chaha hai ki wo jaan-e-murad khud ko zanjir-e-mohabbat se riha chahti hai chahti hai ki kahin mujh ko baha kar le jae tum se badh kar to mujhe mauj-e-fana chahti hai ruh ko ruh se milne nahin deta hai badan khair ye bich ki diwar gira chahti hai hum parindon se ziyaada to nahin hain aazad ghar ko chalte hain ki ab sham hua chahti hai hum ne in lafzon ke pichhe hi chhupaya hai tujhe aur inhin se teri taswir bana chahti hai