har haqiqat ko guman tak sochun main bahaaron ko khizan tak sochun guftugu talkh haqaeq se bhi ho khwab hi khwab kahan tak sochun har qadam ek muamma ban jae zindagi tujh ko jahan tak sochun soch ban jati hai girdab-e-bala ek hi baat kahan tak sochun hadd-e-parwaz meri itni hai la-makan ko bhi makan tak sochun dastaras kis ki mudawa kaisa dard ko sirf fughan tak sochun napun jazbon ko bhi paimanon se ashk ko aab-e-rawan tak sochun tu nahin pas teri yaad to hai tu hi to sujhe jahan tak sochun