honton pe agarche mere muskan saji hai ab bhi meri palkon pe to halki si nami hai aa kar koi baitha hai khayalon mein jo is dam aankhon ki ye barsat zara der ruki hai main khud hun kahin aur dil-e-gham-dida kahin aur jazbaat mein ehsas mein ek barf jami hai khwabon ke dariche se jo jhanka hai kisi ne dil ne kahin sine mein koi aah bhari hai taswir-e-gham-o-dard bani jati hun ab to kaisi mere malik meri taqdir likhi hai dil dard-e-judai se tadapta hai har ek pal hun bhid mein logon ke magar teri kami hai dil jalta hai kyunkar na karun aah aur zari tufan hai sine mein ek halchal si machi hai lagta hai ki jalta hai in aankhon mein koi khwab uthta hai dhuan jaise kahin aag lagi hai ek pal ki judai mujhe manzur nahin ab himmat nahin jine ki badi sakht ghadi hai galiyon mein khade ho ke teri rah takun main zanjir tere hijr ki pairon mein padi hai baqi nahin jine ki tamanna mere dil mein aa dekh le 'rana' teri kis gham mein ghuli hai