har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai

har har sans nai khushbu ki ek aahat si pata hai
ek ek lamha apne hath se jaise nikla jata hai
din dhalne par nas nas mein jab gard si jamne lagti hai
koi aa kar mere lahu mein phir mujh ko nahlata hai
sari sari raat jale hain jo apni tanhai mein
un ki aag se subh ka suraj apna diya jalata hai
main to ghar mein apne-ap se baaten karne baitha tha
an-dekha sa ek chehra diwar pe ubhra aata hai
kitne sawal hain ab bhi aise jin ka koi jawab nahin
puchhne wala puchh ke un ko apna dil bahlata hai
kis ko saza-e-maut milegi ye kaisi hai bhid lagi
aur kya us ne jurm kiya tha koi nahin batlata hai

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close