har jafa un ki hui hum ko wafa se badh kar ab nikalen wo koi zulm jafa se badh kar sar-e-taslim hai kham teri raza ke aage de wo rutba jo hai taslim-o-raza se badh kar kam-sini jin ki hamein yaad hai aur kal ki hi baat aaj unhen dekhiye kya ho gae kya se badh kar allah allah khususiyyat-e-zat-e-hasnain sari ummat ke hain poton se nawase badh kar tajraba kar liya aur dekh liya sab ko 'sharaf' koi hamdard nahin yaad-e-khuda se badh kar