har khwab kali raat ke sanche mein dhaal kar ye kaun chhup gaya hai sitare uchhaal kar aaise dare hue hain zamane ki chaal se ghar mein bhi panw rakhte hain hum to sambhaal kar khana-kharabiyon mein tera bhi pata nahin tujh ko bhi kya mila hamein ghar se nikal kar jhulsa gaya hai kaghzi chehron ki dastan jalti hui khamoshiyan lafzon mein dhaal kar ye phul khud hi sukh kar aaenge khak par tu apne hath se na inhen paemal kar